फितूर एक अरबी
भाषा से सबंधित शब्द है जिसका सीधे सीधे अर्थ “पागलपन” होता है उदाहरण के तौर पर यदि वाक्य इस प्रकार
है “मेरे दिमाग का फितूर...” तो इसका अर्थ होगा (मेरे दीमाग का पागलपन) अब
इस पागलपन शब्द के मूल अर्थ को समझिए जब किसी वस्तु, व्यक्ति की चाहत के लिए दिमाग सब कुछ समझना बंद कर दे तब इसे पागलपन कहते हैं
(यहाँ ध्यान देने योग्य बात है कि इस पागलपन का अर्थ दिमागी विकार/रोग से नही है)
इसका अर्थ “दीवानगी” भी हो सकता है किसी के लिए बे-हद दीवाना हो जाना “फितूर” का पर्याय है
फितूर शब्द के
अनेकों अर्थ हो सकते हैं जिनमें से एक अन्य अर्थ है “जूनून” अर्थात किसी के लिए दीवानगी की हद तक उतावला होना एक प्रकार से अपने जीवन का
परम लक्ष्य उस व्यक्ति/वस्तु को पा लेना ही हो जाए जूनून कहलाता है उपरोक्त फितूर
शब्द सबसे अधिक हिन्दी चित्रपट “फितूर” के प्रदर्शित होने के बाद जाना जाने लगा उससे
पूर्व हिन्दी भाषा में इस शब्द का इतना महत्व नही था फितूर (पागलपन) को अंग्रेजी
में मैडनेस कहा जाता है
Fitoor
Ek Arbi Bhasha Se Sabandhit Shabd Hai. Jiska Sidhe Sidhe Arth Pagalpan Hota
Hai. Udaharan Ke Taur Par Yadi Vakya Iss Prakar Hai: “Mere Dimag Ka Fitoor…”
Toh Iska Arth Hoga (Mere Dimag Ka Pagalpan). Ab Iss Pagalpan Shabd Ke Mool Arth
Ko Samajhiye: Jab Kisi Vyakti Vastu Ki Chahat Ke Liye Dimag Sab Kuchh Samjhna
Band Kar De Tab Isse Pagalpan Kahte Hain (Yahan Dhayan Dene Yogya Baat Hai KI
Iss Pagalpan Ka Arth Dimagi VIkaar/Rog Se Nahi Hai) Iska Arth Divanagi Bhi Ho
Sakta Hai. Kisi Ke Liye Be-Hadd Diwana Ho Jana “Fitoor” Shabd Ka Prayay Hai.
Fitoor
Shabd Ke Anekon Arth Ho Skate Hain. Jinmein Se Ek Anya Arth Hai: “Junoon”
Arthat Kisi Ke Liye Diwanagi Ki Hadd Tak Utavla Hona. EK Prakar Se Apne Jivan
Ka Param Lakshya Uss Vyakti/Vastu Ko Paa Lena Hi Ho Jaaye Junoon Kahlata Hai.
Uprokt Fitoor Shabd Sabse Adhik Hindi Chitrapat “Fitoor” Ke Pradarshit Hone Ke
Baad Se Jana Jane Laga. Iss Se Purv Hindi Bhasha Me Iss Shabd Ka Itna Mahtva
Nahi Tha. Fitoor (Pagalpan) Ko Angreji Me (Madness) Kaha Jata Hai.